Door hoon apne Dost sey mai kesey Eid manaoon !! khushi bemaini si lagti hai eid virani si lagti hai doston ke saath guzra har pal yaad aata hai aur bhut rolata hai jis pal hum sab saath the ek khani si lagti hai abb ah bhi jao is eid main dost yeh eid begani si lagti hai
Dost ne dosti ke liye dost ko bhula diya,Kya hua jo kisi aur ke liye aapne hame bhula diya, hum to wese bhi akele the, kya howa jo app ne hame ehsaas dila diya
App ko pata hai ke duniya ki sub say khubsurat cheez daikhi nahi jati, mehsoos ki jati hai,jesay hawa ka jonka, shehd ki mithaas, jaisay phoolon ki hushboo, jaisay payar, Jantey ho sub say khubsurat ihsas kya hai, Aap ka Sath.
Woh Yaro ki Mehfil"Woh Muskrate Pal" Aaj juda hai hamse"apna bita hua kal" Kabhi zindgi guzrti thi hasne hasane Me" AaJ waqt guzrta hai KAGAZ KE NOTE KAMANE ME
Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi