Mohabbat ki kadar Mohabbat se kia karte hain Hum pe jo marte hai us k liye jia kerte hain Dosti mein sawal jo ho laine daine ka Hum Kante rakh layte hain aur Phool diya kerte hain
Waqt ke panne palatkar fir woh haseen lamhe jeena ko dil chahta hai,kabi muskuraya karte the sab dost milkar,aaj phir unke sath wo pal bitane ko dil chahta hai.
Ishq ek shokh nigaah hai dost, Unpe mit jaane ki ek chaah hai dost, Ishq manzil nahin, koi iraadaa bhi nahin, Jhoot ke jangal se alag, Sach ki ek raah hai dost.
Aapko koi gam ha to khushi hum h, ro rahe ho to hashi ham, udaas ho to umang hum h, akele ho to sath hum h ab muskura bhi do kyuki jab hum hai to kya gum hai.
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane, Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane, Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain, Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
laut jati hai jindagi gum hamara dekh kar, jaise laut jati hai lahere kinara dekh kar , mere janaje ko kandha na dena tum , kahi phir jinda na ho jau tera sahara dekh kar.