Hum se chupte kyon ho dost, Ek din hum aise andheron mein kho jayeinge. Phir maango ge duaon mein khuda se hamain, Aur hum phir sapno mein bHi nahin aayenge.
Mout ki gaadi me jis din sona hoga. Na koi takiya hoga na koi bichona hoga. Saath hongi aap jaise DOSTON ki meethi yaaden. Aur shamshan ka ek chota sa kona hoga.
Saato aasman ki sair hum kar aaye, har ek taare se Dosti kar aaye, Ek TARA khas tha jise hum saath le aaye, Warma aap sochiye aap is zamane par kaise aaye
Ishq ek shokh nigaah hai dost, Unpe mit jaane ki ek chaah hai dost, Ishq manzil nahin, koi iraadaa bhi nahin, Jhoot ke jangal se alag, Sach ki ek raah hai dost.
Ek alag si pehchan banàne ki aadat hai Hùme Zakhm hö jitna gehra utna muskurane ki adt hai Hùme Sab kùch luta dete hai Dösti me Q k Dösti nibhane ki adat hai hume
Pyaar or dosti me itna fark paya hai,Pyar ne sahara diya,dost ne sath nibhaya hai,Kis rishte ko gehra kahu yaaro,Ek ne di zindgi to dusre ne jina sikhaya hai.