SMS Messages1143 messages

Pyaar ka Pehla, Ishq ka Dusara Aur Mohabbat ka Tisara Akshar Adhura hota hai, Isliye hum tumhe chahte hai Kyonki Chahat ka har Akshar Pura hota hai
Yu to yaade purani nahi hoti, Har kisi ko pana sab ki kismat nahi hoti. Hum dil rakh aaye the unke kadmo me, Ye jaante hue b k unki nazar zamin pe nahi hoti.
Chirago se andhere door ho jate, toh chand ki chahat hamme na hoti, agar kat sakti akeli ye jindagi to apki jaroorat hamme na hoti..
Kaash who nagme hame sunaye na hote, Aaj unko sun kar aansu aye na hote. Agar isi tarah bhool hi jaana tha, To itni gehrai se dil me samaye na hote.
Jawani agar diwani na hoti to jahan mein mohabbat nahi hoti. Ya tim timate sitarein na hote to raat itni suhani na hoti.
Tadap ke dekho chahat mein, To pata chale pyar kya hota hai. Mil jaye har koi yuhi raho mein, To kaise pata chale ki intezaar kya hota hai.
Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai, Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai, Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein, Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai
In aankhonme aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!
Zindagi se wafa hamne bhi ki hain bahot par Gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi, Ek tujhko pakar bahut khush tha main , Par sath tera manzil tak mila bhi to nahi…
Ae zindagi yu mujhse daga na kar,Main zinda rahu yeh dua na kar…. Koi chhuta hai tujhe to hoti zalan ,Ae hawa tu bhi usse chhuaa na kar….
Choti choti rat bhi lambi lagti hai, Jab tumhari yaad hame satate hai, Hum aaye ya na aaye tumhari yaado mai, Par rehte ho tum hamesha hamare khayalo mai
Wo dil,dil nahin hota,jis mein pyar nahin hota, Wo pyar,pyar nahin hota,jo chahat mein bekarar nahin hota Thoda tadapna.thoda machalna,tou hai mohabbat ki ada, Jo in raahon se na guzre, wo yaar,yaar nahin hota.