Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Nighaon me suna pan, dil b viraan hai, mere mehboob kya yahi pyar ka inaam hai, Tumne chaha aur raat din pooja maine, Mujhpar laga ye bewafai ka Iljaam hai!...
zindagi kabhi aanso, to kabhi muskaan hai meri dhadkano mai uska hi namo nishaan hai ret par likhe the jo do naam humne uska mit jaana hi hamari mohobat ka inaam hai
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..