Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...
Dhundo tum jitna hum jaisa dost paoge nahi, bichadne k baad bhi bhula paoge nahi,mana hum me kuch KAMIYA sahi,par khuda ne PERFECT koi banaya bhi to nahi.
Vo dil kya jo milne ki dua na kare,tujhe bhul kar jiyun khuda na kare,rahegi teri dosti meri zindagi bankar,ye baat aur hai agar zindagi hi vafa na kare....!!
Hamaare to daaman mein kaanto ke siva kuch nahin. Aap to phoolon ke kharid-daar nazar aate hain. Jahan mein kitne dost mile hume par sabse ache aap nazar aate hain..
Dil ki chotoon ne kabhi chaine se naa rehne diya, Jab chali sard hawaaye maine tujhe yaad kiya, Iss ka roona nahi kyun tumne yaad kiya, Iss ka gum hai ki bahut daer me barbaad kiya.