Kalam uthaya hai par lafz nahi milta, Jisko dhoond rahe hai who shuks nahi milta. Firte hai who zamane ki talash mein, Bas humare liye unhe waqt nahi milta.
Zindagi ki kasti kab lage konse kinare,kab isse milegi manchahi bahare.jina to padega hi kaise bhi pyare,kabhi doston ki bhid main,kabhi tanhai ke sahare......
Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...
Tinka-Tinka tufan me bikharte chale gaye.Tanhai ki gehraiyo me utarte chale gaye.Udte the jin dosto k sahare aasman me.Ek-Ek karke sab bichadte chale gaye.
Waqt k saath haalaat badal jate hai,yaani taqdir k din raat badal jate hai, jab bhi aata hai bura waqt kisi insaan par, to dosto k bhi khayalaat badal jate hai