Pyar Karnewalon ki kismat kharab hoti hai, Har waqt intezar ki ghadi sath hoti hai, Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena, Dosti har rishtey se lajawab hoti hai
Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko, par khuda se badhkar yaar mila humko, ab na rahi tammanna jannat ki, aey dost teri dosti se woh pyaar mila humko.
kisi ka pyar pane ki tamanna nahi, aap jaisa dost ka dular mile itna kafi hai aap chahe humein milo ya na milo, par humein yaad karte raho bas itna kafi hai
Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...