Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Woh roye to bahot par muh mod ke roye,Bade majbur honge jo dil tod ke roye,Hamare saamne kar diye hamari tasvir ke tukde,Baad me wohi tukde jod jod ke woh roye
Kar chuke hai tauba ab hum dil lagane se, Kya mila siwa gum ke aaj tak jamane se, Hum beghar huye gum nahi khushi hai ye, Unko to chain mil gaya mera ghar jalane se.
Raat ho gayi par Nind kaha hai,So jau par wo pyara sath kaha hai,Kuch sunu pr wo khubsurat si pyari aawaz kaha hai,Roye b to kaise 'KOI' paas kaha hai.