tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho, door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho, yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main... faryaad karthe hain...dard ka bi koi insaaf ho
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..