Jab bhi main khud ko samjhaooN, TU mera nahi hai,Dil mein koi cheekh uthta hai, nahi aisa nahi hai,Kab utarta hai koi dil mein utar jaane ke baad,Ki is gali ke doosri taraf koi aur raasta nahi hai.
Hame apni dosti ka hisaab nahi aata,aapka palat kar koi jawaab nahi aata.. Hum to aapki yaad me sote tak nahin,aur aapko sokar bhi hamara khwaab nahin aata...
Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko...Chedega mehfil me zikar hamara koi,To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko.
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.