Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni toh fitrat hai gum chupane ki, ab toh aadat si pad gayi hai aasu pi jane ki, kya haseen saza di hai zaalim ne dosti rakhne ki…
Dil ka dhadakna jaari hai tere jaane ke baad, Tu bhi khush hai apni duniya basane ke baad, Ye baat aur hai ke ab jeena wo jeena nahi, Hum aaj bhi Gham-deeda hain tujhe bhulane ke baad......
Kahne Ko Sab Kuch Hai, Magar Kuch Kami Si Hai, Lagta Hai Ke Dhadkan Thami Si Hai... Hamari Mohabbat Ko Thukrane Wale Zara Aaina To Dekh.... Teri Aankho Mai Bhi Nami Si Hai...
Bhool jate hai hame yaad karta hai kon,zakhm dete hai sab marham rakhta hai kon,hum har pal marte hai aapki judai me, humare aansuo ki kadar karta hai kon.
raat kya dhali taare chale gaye gairo se kya gila jab apne chale gaye jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi par unhe jitane ke lye hum harte chale gaye
Kar chuke hai tauba ab hum dil lagane se, Kya mila siwa gum ke aaj tak jamane se, Hum beghar huye gum nahi khushi hai ye, Unko to chain mil gaya mera ghar jalane se.