Tumse Bichde To Mar Jaayenge Hum, Kuch Is Tarah Se To Naa Maarna Humein, Marne Ke Liye To Teri Judaai Hi Kaafi Hai, Kabhi Bewfai Se Naa Maar Dena Humein,
Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
Koi Nazre Churaye to badi taqleef hoti Hain.. Koi Daaman Chhuddaye To Badi Taqleef Hoti hai.. Kisise Pyar Kar per Zaada bhi mat kar Aye Dost.. Kyoun ke Jab Dil tutt ta Hai to Badi Taqleef hoti hain..
Waqt hai badla aur badli si kahani hai,Sang mere hasin palo ki yaade purani hai,Na lagao mere jakhmo par marham,Mere paas uski bas yahi ek aakhri nishani hai.
Kuch aise din b meri zindagi mei aaye hai.. Aankhe jab roti hai honth muskaraye hai, sabse jyada jo dur gaye mere daman se,jaane ku sabse adhik yaad wahi aaye hai..
Hijr Ke Mosam Main Ye Barish Ka Barasna Kesa Ik Sehraa Se Samandar Ka Guzarna Kesa Aye Mere Dil Na Pareshan Ho Tanha Ho Kar Wo Tere Sath Chala Kab Tha To Bichadna Kesa.