Ek khoobsoorat dhokha hai ishq yaaro, Hai har mohobbat ek jhoot yaaro, Jitni khoobsoorat ho sajan utni gehri hai wo bewafaai yaaro, Na yakin ho, to mere mehboob ki tasveer hi dekhlo yaaro…”
Kissi ko mohabbat ki sachai mar dalegi, Kissi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi, Kar ke mohabbat koi nahi bachega, Aur jo bachega use tanhai mar dalegi.
kisi se pyar soch samajhkar nahi hota,har apna lagnewala humsafar nahi hota,tanhai katon ki tarah chubhti hai to kya hua,katon ko murjhane ka darr to nahi hota
AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.