Tanha koi na mila jispar duniya luta dete,har ek ne dhokha diya,kis-kis ko bhula dete.Apne dard ko dil mein hi rakhte hai,karte bayan to mehfil ko rula dete.
Unhe nafrat thi humse to izhar kyun kiya.Dena tha zehar to pyar kyun kiya.Deke zehar kehte hai peena hoga.Jab pee gaye to bole tumhe meri kasam jeena hoga.
Humne Iss Duniya Main, Itne Zakhm Khaaye Hain Mujhse Jo Bichad Gaye, Wo Khud Mere Saaye Hain Jee Rahaa Hoon Zindagi Main In Aansuon Ke Sahaare Mere Liye To Ab Apne Bhi Paraaye Hain
Hansane ke baad kyon rulaati hai yeh duniya, jaane ke baad kyon bhulati hai yeh duniya. Zindagi mein kya kuchh kasar baaki thi jo marne ke baad jalati hai yeh duniya!!