JAKHM JAB MERE SINE ME BHAR JAYENGE, ANSU BHI MOTI BANKAR BIKHAR JAYENGE, YE MAT PUCHNA KIS KIS NE DHOKA DIYA, VARNA KUCH APNO KE BHI CHEHERE UTAR JAYENGE...
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Chandni raato me saara jaha sota hai.Kisiki yaado me koi badnasib rota hai.KHUDA kisi ko mohabbat pe fida na kare,agar kare toh qayamat tak juda na kare.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hume kisi se pyaar nahi, kismat ne sab kuch diya hume, sirf diya hamara woh yaar nahi.
Maang li maine duvaye,Tum b ab sajda karo.In lakiro ko milakar raasta naya paida karo.Motiyo aur hiro ko lejane walo,Uljhano aur aansuo ka b toh Sauda karo..