Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Na puch mere sabar ki intha kaha tak hai, Tu sitam kar le teri taaqt jahan tak hai.wafa ki umid jine hogi unhe hogi,hume to dekna hai tu bewafa kahan tak hai
In aankhon me aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!
Dil jit le wo jigar hum b rakhte hai! katal kar de wo nzar hum b rakhte hai wada kiya hai kisiko hamesha muskurane ka Varna ankho me samandar hum b rakhte hai
Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko...Chedega mehfil me zikar hamara koi,To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko.