Hame apni dosti ka hisaab nahi aata,aapka palat kar koi jawaab nahi aata.. Hum to aapki yaad me sote tak nahin,aur aapko sokar bhi hamara khwaab nahin aata...
Kuchh log aise hote hain jo pal bhar me paraya kar jatey hain Manzil ko dekhtey hi ek pal me rasta badal jatey hain Jate jate dil se woh kuchh is kadar khel ke jatey hain Jiski aag me hum umra bhar baas jaltey hi reh jatey hain..
woh hume bulne ki baat karte hai zara unse pucho who hume kab yaad karte hai Jo karte the kabhi humse bahot mohabbat Aaj akele rehne ki baat karte hai.
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
Kar chuke hai tauba ab hum dil lagane se, Kya mila siwa gum ke aaj tak jamane se, Hum beghar huye gum nahi khushi hai ye, Unko to chain mil gaya mera ghar jalane se.