Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Is ghum ke mausam mein, mera dil ro raha hai Aur alam kuch is tarah ho raha hai Hum jaag rahe hain, sara jahaan so raha hai
hum jis ke wajood mein khud ko talaashte hain... woh auron ki baahon ko apnaa pyaar maante hain... hum jis ka saaya ban kar saath chalnaa chahte hain.. woh humaare ehsaas ko bhi thokar maarte hain...