Dil chahta hai tumse mulakat roz ho, zindagi kai lamho mai tera sath roz ho, ho tumse kuch bate itne karib se karen, jo umar bhar na bhule wo baat ho..
Teri har bat meri takdeer ban jati hai Teri yaad meri janjeer ban jati hai Jee chahata hai toot kar tujse payar karu magar khud ki hi sharm deewar ban jati hai
kuch tumhare ankho ki kajal ne kaha kuch tumhare julfo ki badalne kaha jo keh na saki tumhare khamosh honth hawa me lahrati hui tumhari aanchal ne kaha
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.