Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Badi koshish k bad use bhula diya,uski yado ko sine se mita diya,1din fir uska sms Aaya likha tha bhul jao muje or bhula huva har 1lamha firse yad dila diya
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,Jaane kya baat hai aap mein,Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.