Tute dil ki hasrato ka dil me basera rahega, Aankh meri jo royegi to dard tera rahega, kuch is tarah samaya hai rag rag me tera pyar, Aakhri saans rehne tak labon pe tera naam rahega.
fir wahi fasaana afsaana sunaati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho.
Meri aankhon mein joh tasveer basi hai, Us tasveer mein hi meri taqdeer basi hai, Kis tarah judaa kar dun usko apni aankhon se, Mohabbat ki duniya mujhe ussi mein hi to mila hai.......
Khudaya mila de mujhko tu usse ek baar, Tham jaaye yeh shaikayato ka silsila ek baar, Dekh loon usko jee bhar ke ek baar, Kar loon apne dil ki har baat usse ek baar...