Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Nigahe dar per lagi hai or hum udas baithe hai... Tere aane ki lekar aas baithe hai... Yuhi nahi teiz hue dil ki darkan aisa laga k aap paas baithe hai.......
Gum ki aahat bhi na aaye tere dar par, pyar ka samunder ka tu bhi ek kinara ho, kabhi bhool se jo tapke teri aankh se moti, thame wohi jo tujhe sab se pyara ho
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai, Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai, Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe, Sirf ek baar tujhe Dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai....