Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Umeed ki kashti ko duboya nahi karty... Saahil agr dour ho to roya nahi krty... Rakhty hain jo kisi Dil main tarap kisi ki... Wo log to raaton ko soya nahi krty......
Khuda jaane pyar ka dastur kya hota hai, jinhe Apna banaya wo dur hota hai, kehte hain ke milte nahi Zamin Aasman, fir kyun Aasman Zamin par Fida hota hai.?.
Rishte banane ke liye bas ek pal chahiye, Par unhe nibhane ke liye dil chahiye, Khelta to sagar bhi hai lehro se, Par unhe thaamne ke liye bhi saahil chahiye.