Intezaar Ke Lamhe Sholey Mein Badalne Lage Hain, Hum Unka Intezaar Karne Lage Hain, Woh Aayi Nahi Abhi Tak Samay Bahot Ho Gaya Hain, Ab To Hum Ghadi Se Bhi Sharminda Ho Gaye Hain
Milna itefaq tha bichadna nasib tha,wo itne dur ho gaye jitne karib the,hum unko dekhne ko taraste hi reh gaye,jis shakhs ki hatheli pe hamara nasib tha..
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.