Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
Jo dil me hai aankho k hawale nahi karna, Khud ko kabhi khwabo k hawale nahi karna. Is umar me khush fehmiya achi nahi hoti, Is umar ko wado k hawale nahi karna
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu mein tere liye khuda se taqrar nahi karta, par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta
Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte, dil me rahne walo ki bat nahi karte, humari to ruh me bas gaye hai aap, tabhi to hum aapse milne ki fariyad nahi karte.