Umar bhar aapko itna pyaar denge,Soch se bhi zyada beshumaar denge,Di na hogi itni khushiyan kisi ne apne pyaar ko,Vaada hai utni khushiya bar bar denge.
Gamo ko zindagi ka nam buzdilo ne diya hai,Humne to gamo ka samna khusi se kiya hai,Marte waqt b in hoto se hasi na jayegi,Ye vada humne zindgi se kiya hai.
Kisi ki chahat pe Zinda rehne wale hum na the, Kisi pe marmitne wale hum na the, Aadat si padgai hai tumhe yaad karnae ki, Warna kisi ko yaad karne wale hum na the.
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.