Meine Mana Teri Aankhein Nahin Khulti Magar Din Nikalne De Ujalon Se Preshan Na Ho Apni Zulfo Mein Utarti Huyi Chandni Ko Chupa Mere Bikhre Huye Balo Se Preshan Na Ho
Na begunah hum rahe na bewafa woh rahe,Baaho me woh they phir bhi faasle rahe.Meri chahat mera muqaddar ban jaye kaash,Jaha dekhu unki surat nazar aaye
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah Har ek roop main tera intezaar karte hain Na tum samet sakogi jise qayamat tak Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
Bahut taras kar nigahein jab nam ho gayi,Jugnu nachte rahe chamak kam hogayi,Kisi ko dekh lene ki tamana ne kiya pagal,Utar kar galon par shabnam sanam ho gayi
yaado ki dhund me aapki parchai si lagti hai sannate me gunjti shehnai si lagti hai aap saath ho to duniya jannat hai warna seene me saans bhi parai si lagti hai
Kabhi-Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Dosti Ka Asar Zara Der Se Hota Hai Unhe Lagta Hai Hum Kuch Nahi Sochte Unke Baare Me Par Har Baat Me Zikr Unka Hi Hota Hai
Ab k Mujh Ko Dekh K Wo Dekhta Reh Jayega Is Qadar Badlainge K Sochta Reh Jayega Mere Chehre Pe Bhi Honge Be-rukhi K Zawiye Aisa Hy k Wo Mujh Main Mujh Ko Dhundta Reh Jayega