Main uski shakal ko dil se utar deti hoon…..kabhi kabhi tu main khud ko bhi mar deti hoon…..ye mera haq hai mai use dukh bhi doon….main chaht bhi tu use beshumar deti hoon.
tanhai lay jati hain jahan tak yaad tumhari, wahin say shuru hoti hain zindagi hamari, nahin socha tha chahein gay hum tumhein iss kadar, per ab tau ban gayin haun tum kismat hamari.
Mitha sa dard dil me utha tha abhi abhi, kya tumne mujhe yaad kiya tha abhi abhi, tumse mile hue gujar gaya hai zamana, par aisa laga jaise tum mile mujhe abhi abhi.