dekar humein tadpane ki saza, unko aa raha hain maza. Hum to unki khatir marr mitne ko taiyaar hain... bus ek baar woh keh de ki tu mera yaar hain.......
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.
Khuda se thoda reham khareed lete, aapke zakhmon ka marham khareed lete, agar kahin bikti khusiyan meri, to saari bech kar aapka har gum khareed lete Phool
Socha tha isbar unko bhul jayenge, Dekhkar bhi unko undeha kar jayenge, par jab jab samne aya chehra unka, socha isbar dekh le , agli bar bhul jayenge..
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain