Dil se tera khayal na jaye to kya karu? tu hi bata teri yaad aaye to kya karu? hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu kismat woh lamha na laye to kya karu?
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Jab koi khayal dilse takarata hai, dil na chahkar bhi khamosh reh jata hai, koi sab kuch kehkar pyar jatata hai, toh koi kuch na kehker bhi pyar nibhata hai
pyar kia to unki mohabat nazar ayi,dard hua hume to palke unki bhar ayi,2 dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
Jo hum mehsoos karty hain, Agar tum tak pohanch jaye, To bus itna samajh lena, Ye un jazbon ki Khushbu hai, Jinhian hum keh nahi saktay, Magar tum jo ijaazat do, To chand lafzon main keh daalon, K TUM BIN JI NAHI SAKTAY K TUM BIN MAR NAHI SAKTAY.
Apne dil ki sun afwahon se kaam na le,muje yaad rakh beshak naam na le,tera veham hai ki main bhula hoon tujhe,meri koi aisi saans nhi jo tera naam na le..
Ada unki aur deewane hum bane...wafa wo na kar sake aur bewafa hum bane...yu to hazaro the bheed me...shukriya unka, jo unki nazron k nishane hum bane.