Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
'Fir chupke se yaad aa gaya koi, in hasti hui ankhon ko rula gaya koi, kya thi unke chehre ki masumiyat, is nafrat bhare dil ko mohabbat sikha gaya koi'
Gum ki aahat bhi na aaye tere dar par, pyar ka samunder ka tu bhi ek kinara ho, kabhi bhool se jo tapke teri aankh se moti, thame wohi jo tujhe sab se pyara ho
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.
Woh dil kidher se lau teri yaad jo bhula de , Mujhe yaad aane wale koi rasta bata de , Mere dil ne tum ko chaha kya ye meri khata hai , Mana ke ye khata aisi bhi na saja de
Kasam unki jo hame Aazmaye baite he,paas he dil ke par dur jakar baite he,nazro se nazre mile to baat ho,mushkil to ye hai ki woh nazrein jhukaye baite he.