Tumari judai yadon ka izhar karti hai, tumari yaad bahut bekarar karti hai.. Wo din jo sath guzare the humne, talash unhi palon ki ye nazar bar bar karti hai
Umar bhar aapko itna pyaar denge,Soch se bhi zyada beshumaar denge,Di na hogi itni khushiyan kisi ne apne pyaar ko,Vaada hai utni khushiya bar bar denge.
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte, Apne deewano ko sataya nahi karte, Har waqt bas jise tumhara khyal ho, Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Us ko dil mein basa bhi na paaye, aur sahi tarah se bhula bhi na paaye, woh shaaks jo ban gaye the zindagi meri, hum uss ko haal-e-dil suna bhi na paaye.