Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Tumari judai yadon ka izhar karti hai, tumari yaad bahut bekarar karti hai.. Wo din jo sath guzare the humne, talash unhi palon ki ye nazar bar bar karti hai
Tu meri chahat hain, tu meri tamana hain, tu meri aarzoo hain, tu hi meri dua hain, tu hi mera dil ka sukoon hain, tujhe pane ki aas hain, tu hamesha mere dil ke paas hain, ab toh har pal yeh ehsaas hain, Ki tu mere liye kuch khaas hain.