Waqt NE sari kahani hi badal dali,Pyar ka naam Jo aata hai to Dar lagta hai,Zakham kuch aise bhi apno NE diye hai mujhko,AB koi haath milata hai to Dar lagta hai
Badi asaani se dil lagaaye jaate hain, Par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,Le jaati hai mohabbat un raho par jaha diye nahi dil jalaaye jaate hain.
Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?