Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota Har musafir jindagi ka sahara nahi hota Milte hai bahot log is tanha jindagi mein Par koi DOST tumsa pyara nahi hota!
Meethi baaton se nahi hota pyaar, Har phool nahi banta haar... Yun toh zindagi me koi aata hai aur jata hai, Lekin har koi nahi banta aap jaisa yaaar..
Taron ko ginane wale ham na they, akele gungunane wale ham na they,yeh to aapki dosti ne aadat si laga di, warna kisi ko itna yaad karne vale ham na they..
khubiya itni to nhi hum meki tumhe kabi yaad aayenge par itna to etbar hai hume khud par aap hume kabhi bhul nhi payenge chahkar bhi juda na rh sakoge ruth kr bi khafa na rh sakoge hm dosti hi kuch is trah krnge kiap hmare bina 1pal na ji sakoge
Dil paraya ho sakta he,par preet nahi,Dariya gahera ho sakta he,par pani nahi,Hum to humesha apka saat nibhayenge,q ki Pyar ek tarfa ho sakta he,Dosti nahi.
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon, Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon, Hai meri dosti mein itna dum, Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon
Koshish karo koi aapse na ruthe.zindgi mein apno ka sath kabhi na chute..Rishta koyee bhi ho use aise nibhao..ke us rishte ki dor zindgi bhar na tute.......