SMS Messages13143 messages

Pyar me bewafai mile to gum na karna,Apni aankhe kisi k liye num na karna,Wo chahe laakh nafrat kare tumse,Par tum apna pyar kabhi uske liye kam na karna.
Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Dard me koi mausam pyara nahin hota, dil ho pyasa to pani se gujara nahin hota, dekhe zara koi bebsi hamari,hum unke ho gaye jo hamara nahin hota
Bar bar chahe dil rota hai, Par isme bhi chahat ka nasha hota hai, Jitna chahe bach lo, Par zindagi mein ek bar PYAAR jaroor hota hai.
Aaj har ek pal KHOOBSURAT hai.., DIL me mere sirf teri surat hai, kuch bhi kahe ye duniya gham nahi, duniya se jyada mujhe teri zarurat hai
Dur hi sahi kinara to hai,tim-timata hi sahi sitara to hai, ho jati hai,tumari yaad se hi tassali, tinka hi sahi sahara to hai..
Rulana har kisi ko ata hai,Hasana kisi-2 ko ata hai,Rula k jo mana le wo sachha yaar hai Aur jo rula k khudh bhi aansu bahaye wo tumhara pyar hai..
pyar pe bas to nahi hai mera lekin fir bhitu mujhe bata de ki tujhe pyar karu ki na tune khud apni adao se jagaya hai jinhe un tamanao ka ijhar karu ki na
Kya gham he kya khushi malum nahi,wo apna hai ki ajnabi malum nahi,jiske bina ek pal nahi guzarta,kaise guzregi zindagi malum nahi
Maali ko phool pasand hai, phulo ko bahar pasand hai, naa jane aapko kya pasand hai, sach kahe hume to "aap" pasand hai..
Akela sa mehsoos karo jab tanhaai mai, yaad meri aye jab judaai mai, mehsoos kar lena tumhare hi pas hoon main, jab chahe dekh lene apni parchaai mai…
dayare me rehna bhi zindagi hai to hadh se gujarna bhi zindagi hai khusiyoan ko baatna bhi zindagi haito yu gamo se ladna bhi zindagi hai yu to rehti hai hothon pe muskurahat par shayad chupke se dard sehna bhi zindagi hai