SMS Messages13143 messages

Ek shabd me kya tarif karu apki,aap shabdo me kaha bandh paoge,bas itna janlo ki jab bhi baat chalegi dosti ki meri aankho me aap hi nazar aaoge.
Apki yadon ki mehak in hawaon me hai, kuch apnapan sa in fizaon mein hai, khushiya chume apke kadam hardam, yehi sapna in nigaho me hai…
Mana ye waqt hume yad karne wala nahi,par bewaqt hume yad kar liya karo,mana apke aas pas sari duniya ,hamari kami ka bhi ehsas kar liya karo
Chand ke leye sitare ek hai sitaron ke leye chand ek hai aap ke leye Chahne wale hazaar honge hamare leye aap ek hain.
Bahut door hai humare ghar se, tumhare ghar ka kinara... par Hum hawaa ke har jhonke se puchh lete hain..., kya haal hai Tumhara....
Baat aisi ho ke jazbaat kam na ho.Khayalat aise ho ke kabhi Gam na ho.Dil ke kone me itni si jagaha rakhna ke khali khali sa lage jab hum na ho.
Q har waqt yad ati hai tumhari,rato ki nind bhi churali hamari,ab yahi khayal rehta hai subah sham ki,jane kab mulaqat hogi hamari tumhari.
Tera pyaar hum is tarah nibhayenge, tum roz khafa hona hum roz manayenge,par man jana manane se, warana yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
Pal pal ne kaha ek pal se pal bhar ke liye tum mere ho jaao pal bhar ka saath kuch aisa ho ki har pal hi yaad aao.
Hamari dosti dil mein basaye rakhna hamari yadon ke chirag jalaye rakhna bahut lamba hai safar zindagi ka mere dost ek hissa hume bhi banaye rakhna
Khuda ne jab ishq banaya hoga, To khud bhi zaroor ajmaya hoga, Hamari to aukaat hi kya hai, Is ishq ne khuda ko bhi zaroor rulaya hoga.
Bahut kam hote hai log aise,jinhe sachi cahat ki pehchan hoti hai, kisie par mar mitne se pehle soch lena dost,gavane k liye sirf ek hi jaan hoti hai.