Mere jine ke liye aapka Armaan hi Kafi hai, Dil ki kalam se likhi Daastaan hi kafi hai, Teer aur talwaar ki kya zaroorat hai, Katal karne ke liye aapki muskaan hi kafi hai
kisi ko dil to kisi ko didaar mile, kisi ko phool to kisi ko haar mile, Kisi ko khusi to kisi ko pyaar mile, par hum ko to bas aap aur aapka didaar mile.
Hum raat ki tanhai me tumhe awaaz diya karte hai, Aur sitaaron se aapka zikar kiya karte hai, Tum aao ya na aao, fir bhi Hum khwabo me aapka intezaar kiya karte hai.