Pehle kabhi tanha na tha yeh dil kisi ki yaad me, Phir aaj kyu yeh tera naam pukare ja raha hai. Humne to sirf basaya tha tujhe is dil me, Phir aaj kyu yeh tujhe apna banaye ja raha hai.
Unki tasveer yuh aakho me bas gayi hai, Ki dekhte hai jo bhi nazara,..... wohi dikhai dete hai, Pehle na kabhi mehsus kiya tha dil ki dhadkan ko, Ab to har bar dhadakta hai.. .... wohi sunai dete hai....
Tumhari yaadon ke sahare zinda hai hum, Tumhe dekhne ki chahat,Dil me rakhte hai hum, Ab untezaar hai to sirf tumhare aane ka, Warna kabse jeena chor chuke the hum....
Log har manzil ko mushkil samajhte hai, ham har mushkil ko manzil samajhte hai. Bada fark hai log aur hamare nazarie me, log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
KITNA BEBAS HAI INSAAN APNI KISMAT KE AAGE, KITNA BE-NOOR HAI SAPNE HAKEEQAT KE AAGE, KOI RUKI SI DHADKAN SE POOCHE, KITNA TADAPTA HAI DIL MUHOBBAT KE AAGE.
Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai, Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai, Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein, Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai