SMS Messages12089 messages

Jab bhi kisi ko kareeb paya hai, kasam khuda ki wahin dhokha khaya hai. Kyon dosh dete hein hum kanto ko... Zakham to humne phulo se paaya hai.
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho, Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho, Mujhe maut ka dar na hoga, Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.
Koi ankhon se baat kar leta hai, Koi ankhon mein mulakat kar leta hai, Bada mushkil hota hai jawab dena, Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin
Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut meri.
Har khushi kam hai, Tera gum bhulane ke liye, Ek tera gum hi kaafi hai, Mujhe umr bhar rulane ke liye
Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai . Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai. Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen, Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Khushion se naraz hai jindagi.Pyar ki mohtaz hai jindagi.Hass lete hai logo ko dikhane ke liye.Varna dard ki kitab hai jindgi..
Jab hame unse mohabbat thi, Tab unhe hamari Mohabbat par shak tha. Jab unhe ehsaas hua hamari Mohabbat ka tab hum per kisi aur ka hakk tha...'