Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai . Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai. Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen, Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai
Uski mohabbat ka abhi nishan baki Hai, Naam lab par Hai jaan baki Hai kya Hua jo dekh kar Muh pher lete Hain Tasalli to hai k shakl ki pehchaan baki Hai...
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
Shuruwat mei badi-badi kasme khate hai ye log Lekin us pyar ko nibha nahi paate hia log Pyar mei DHOKE de jaate hai pyar karne wale Bewafaai karke kisi aur ka haath tham kar laut jaate hai ye log