Gunaah karke saza se darty hain... Zeher pi ke dawa se darte hain... Dushmano ke sitam ka khauff nahi... Hum to apno ke rooth jaane se darte hain......
Umeed ki kashti ko duboya nahi karty... Saahil agr dour ho to roya nahi krty... Rakhty hain jo kisi Dil main tarap kisi ki... Wo log to raaton ko soya nahi krty......
Kuch bikhare sapno se ankhon mein nami hai... Ek chhota sa aasma aur umido ki zamin hai... Yun to bahut kuch hai zindagi main... Sirf jo apna hain uski kami hai......
Saath rehtay rehtay yoon hi waqt guzr jaye ga .. Door hone k baad kon kesay yaad aye ga .. Jee lo yeh pal jab hum saath hai .. Kal ka koya pata waqt kaha ley jaye ga.....
Unki yaad dil se bhulai nahi jati... Yeh dil ki dolat roz lutai nahi jati... Kis muh se kahte ho ki unhe hum bhul jaye?. Yeh pyaar ki duniya hai, Roz basai nahi jati.......
Bahon main lelo muj ko k tanha hon main... Dharkan main basalo muj ko k Tanha hon main... Tum nahi to jahan main kuch b nahi... Muj main samaa jao k tanha hoon main........
Pyaar Koi Cheez Nahi, Jise Mehnat Se Haasil Kiya Ja Sake... Pyaar Koi Mukaddar Nahi, Jise Taqdeer Pe Chhoda Ja Sake... Pyaar Ek Yaqeen Hai, Bharosa Hai... Lekin Yeh Itna Aasaan Nahi, K Kisi Pe Bhi Kiya Jaa Sake.......
Nigahe dar per lagi hai or hum udas baithe hai... Tere aane ki lekar aas baithe hai... Yuhi nahi teiz hue dil ki darkan aisa laga k aap paas baithe hai.......
kabhi to mera Bhi khwab pura ho ga... Kabhi to mujhey bhi lakhoon piyaar karney waley ho gey... Yeh khwab na mumkin hi sahe per dil main ek umeed hai... Yeh khwab kabhi tu pura ho ga........
Nainoo kay is darpan main tumhara chahra rahta hay... Sans ke har ek lah main tumhara naam sajta hay... Pyar tumhara singhar hay mera har pal tum say kahte hoon... Tumharay naino ke chilmun main shayad kahee rahtee hoon..........