Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
FAREB THA YA HANSI, MAIN AASHIKI SAMAJH BAITHA, MAUT KO HI APNI ZINDAGI SAMAJH BAITHA, VAKT KA MAJAAK THA YA BADNASIBI MERI, UNKI DO BAATO KO MAIN CHAAHT SAMAJH BAITHA.
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,Mere baad na aankho se moti bahana tum.Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
Hum suraj nahi jo dhal jayange,Hum waqt nahi to guzar jayange,Hum mausam nahi jo badal jayange,Hum to aansu hai jo khushi aur Gum dono me nazar aayange..