Mera Is Se Door Jane Ka Irada Na ThaIs Ke Sath Mera Sada Sath Rehne Ka Bhi Wada Na Tha Wo Muje Ab Yaad Na Karegi Kbhi Janta Tha Main Per Wo Muje Itni Jaldi Bhool Jayegi Is Bat Ka Andaza Na Tha
Ishq wale ankho ki bat samajh lete hai. sapno me mil jaye to mulakat samajh lete hai. rota to asmaan b hai pyar ke liye par log use barsaat samaj lete he "
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Mujhe Itna Pyar Mat Karo Ke Dunya Mein Mashhoor Ho Jaoun Dekho Tum Mujh Se Bewafayi Mat Karna Aisa Na Ho Ke Teri Bewafayi Mein Dunya Ko Chorne Ke Liye Majboor Ho Jaoun
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega