Dil Toota Hamara Ismein Khuda Ki Marzi Hogi, Ismein Kuch Unki Khutgarzi Bhi Hogi, Dil Diya Tha Unhe Hamne Apna Samajh Kar, Tod Diya Unhone Ise Ek Sapna Samajh Kar
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,