Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai shayad isi tarah likhi meri taqdeer khuda ne jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.
Ek tuti hui zanjir ki fariyad hai hum,aur dunia ye samajhti hai ki azad hai hum.is ashiqi ne kya diya hai humko,kal bhi barbad the,aaj bhi barbad hai hum