kya kahe aapko hum? khud nahi samaj pa rahe, kaise bitaye har pal, dar hai kahi hum bichad na jaye, mulakat ka vada manzoor hai hame, doa boond ansuome, khushi bhi aap laye,
Dil jit le wo jigar hum b rakhte hai! katal kar de wo nzar hum b rakhte hai wada kiya hai kisiko hamesha muskurane ka Varna ankho me samandar hum b rakhte hai
Na jine ki khushi na marne ka gam, gam hai to unse na milne ka gam, jeete hai is aas pe kbhi woh hamare kehlayenge marte nahi isliye ki woh akele reh jayenge.
Jakham jab mere sine me bhar jayenga, Ansu bhi moti bankar bikhar jayenga, Ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, Varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenga
Hakikat na puch mere fasane ki,tere jate hi badal gayi nazar zamane ki. Log puchte hai mai khush kyun nahi,kya kahu meri toh adat thi tere sang muskurane ki.
Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.