Jindgi itni jiyo jiski koi had na ho.Bharosa itna karo ki koi shaq na ho.Intzar itna karo ki koi waqt na ho.Aur pyar itna karo ki na mile to nafrat na ho.
Ek muddat se jo khawab ban kar nazar me raha rooh ban kar vo mere badan me raha fana ho kar jise chaha tha dhadkano ne meri kareeb aa kar vo shask ajnabi sa raha
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
Shama kehti hai Mujhe banaya kisne,jis jis ke Haath lagi mujhe jalaya usne,wo shama kya jise koi jalane wala na ho,wo insan hi kya jise koi Chahne wala na ho