Chand tare jami pe lane ki zid thi, hume unko apna banane ki zid thi, achha hua wo pehle hi ho gaye bewafa , warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.
Chalta Tha Kabi Haath Mera Thaam Kar Jis Par Karta Ha Bohot Yaad Wo Raasta Usay Kehna Umeed Wo Rakhay Na Kisi Or Se ...Har Shakhs Mohabat Nahi Karta Usay Kehna.
Kitne raate beet gai...Kitne din beet gae...Bus beeta nahi to...Yaadon ka wo pal...Wo guzra hua kal... Beeti nahi to aankho ki nami or aapki kami......
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Jab bolte hai to kehte ho ki bohot bolte ho Jab chup rehte ho to kehte ho ki naraz ho? Dil ki baat akhir kaise bataen Batate hain toh kehte ho mazak kar rahe ho?
Sehmi si nigaho me khwab hum jaga denge Suni si raho me phool hum bicha denge Hamare sang muskura kar to dhekiye Hum aapki zindagi ke sarey ghum bhula denge!
Meri Chaahat Pe Tum Humesha Bharosha Rakhana, Ey Khuda Mere Mehboob Ko Sada Salamat Rakhana, Tere Sapnoko Sanwar Ne Hum Jaroor Aayenge, Bas Aankho Me Humara Intezaar Rakhana
Milna itefaq tha bichadna nasib tha,wo itne dur ho gaye jitne karib the,hum unko dekhne ko taraste hi reh gaye,jis shakhs ki hatheli pe hamara nasib tha..